Monday, August 31, 2020

Paththar

Hu Mai raaho ka Paththar,
Manjil ka hakdaar nhi.
Paththar ki to kismat hai Thokar,
Kisi Meera ka Pyar nahi..
By sach

Wednesday, June 17, 2020

Tribute Sushant Singh Rajput.

Dekhkar wo bola yu, yar tu bhi kirdaar anokha hai,
Kaise chal rha hai tu, tere to har kadam pe dhokha hai.

Kyu deta hai haq khud ko, Khwab Sajane ka,
Kya tuje jara bhi khauf nhi jamaane ka.
Bada khus dikhai deta hai tu bhai,
Kya lega thora kam muskrane ka.

Bada Shant hai tu, tu to waqt se so jata hai,
Sab kuch to hai tere paas, kuch aisa to nhi jo tu chupata hai.

Mai bola k Kaapte hoto ki hasi muskrahat nhi hoti,
Andar k Shor ki koi aahat nhi hoti,
jb mukammal na kr ske zindagi ka kirdaar ham,
to jeene ki bhi Chahat nhi hoti.

Mai bhagu to kisse, jb ladai mere andar hai,
bahar to mai lad jau, chahe saamne Sikander hai,
Bacha bhi lu agar khud ko, dil ki gahraio mei doobne se to kya
Rasta Nhi mere aage Bas Samundar hai...
Mere aage bas samundar hai

By Sach (Sachin)



#dilsedardtak #hindi #poetry # Sushantsinghrajput #Sachingupta


Saturday, March 7, 2020

Fakeer

le rhi kismat karvate hatho ki lakeero mei,
aur usne likh di meri ginti fakeero mei.

hame milta tha sukoon uski panaho mei,
aur wo mohtaaz samaj baithe,
wo to guroor mei choor the, 
aur ham pagal naraz samajh baithe.

sambhalna hai khud ko, kahi apni ahmiyat na kho jau.
ab to haq mangne m b darr h,
kahi uski najro mei begairat na ho jau.

abi to aatma bchi thi mere jameero mei,
aur usne likh di meri ginti fakeero mei.
by CA Sachin Gupta
#shayaridilsedardtak