Tuesday, September 19, 2017

Hak Hai Muje (Words of Motivation from my heart)

Baithe ho jo haarkar nirasha mei,
to tumhari mardangi par sak hai muje.
Kya itna hi ta ubaal rago mei,
tumare jameer ko kosne ka hak hai muje.

Toota hai Dil ya doobe ho kisi ko chahne mei,
Kya itna sasta hai waqt tumara, jo lge ho kisi ko mnane mei.
Hatho pr yakeen nh ya sak hai kabliyat par,
aaj se hi suru krna hai ya aur waqt lgana hai kuch paane mei.

ek bar khud k liye raato ko jgakar dekho
us raat palko pe sapne sjakar dekho,
Arey isq kro to apni khwaiso se,
Fir Manjil E mahbooba ko gale lgakar dekho.

Roye ho jo aaj bhi uske khafa hone pr,
to tumari mardangi pe sak hai muje,
Soye ho jo subah 4 bje use mnate mnate,
to tumare jameer ko kosne ka hak hai muje.

kya hua jo km hai kuch suvidhaye tumare gharane mei,
Bdi mehnat lgi Pita ko tumari jarurate jutane mei.
Kbi dekha hai unki ummeed bhari nigaho mei tumne,
darti hai unki jubaa b apni ummeede tumhe btane mei.

Kbi apni maa k aaram ki khwaish to kro,
Uski khusi kmane ki khud se farmaish to kro,
Chor do rona jo hai usme khus rho,
Ya uth k khud ki mehnat ki aajmaish to karo.

Gaalia dete ho agar kismat ko,
to tumari mardangi pr sak hai muje,
Aur jo bahre ho pita ki ummeed, maa ki farmaiso se,
to tumare jameer ko kosne ka hak hai muje.
aur kya tum zinda ho ye sak hai muje,

by Sach
CA Sachin Gupta

Sunday, September 17, 2017

Shayari

ek to kasoor hai tere gaalo ki laali ka,
aur naseeb hai tere kaano ki baali ka,
ek bar jo thahar jaye muj par teri najre,
mai jal jau bn kr deepak diwali ka.

Ek kaano mei shor payal ki chamcham ka,
Khan khan khankana tere kangan ka,
tu nikle jo kbi dopahar ki dhoop mei,
mai baras jau bn kr paani saavan ka.
by sach...
CA Sachin Gupta

Tarif Mumkin Nhi

Tu aayi hai utar k sayad jannat se kahi,
hai jo noor tujme wo kahi noor hi nhi.
inkar krti hai meri kalam likhne se,
usne jaana k teri tateef alfajo mei mumkin nhi.

Lekr aankho mei mastiya,
hoto se muskra diye,
na jane kitne aasiq ghutno pe gira diye,

haar na baithu mai bhi dil yahin,
teri tareef mujse mumkin nahin,

aafreen aafreen aafreen aafreen

kaali raato mei bhi hai tere husn ki roshni,
so bhi nhi paata, tu kuch pal odh le odhni .
raat bhar jaag k likha to raaj jaana,
k teri tareef mujse mumkin nhin.

aafreen aafreen aafreen aafreen
by sach
CA Sachin Gupta


Saturday, September 16, 2017

Improvement

Tum jo aakar, yu Chale jate ho,
kya hai dil mei, jo tum chahte ho.
Hai jo agar mere kirdaar mei kmiya,
to fir kyu tum muje acha btate ho.

chalo khud ko badalkar ek alag kirdaar denge,
magar ab na khud ko intzaar denge,
likh de ek bar mei meri kmiya sari,
Sabd dar sabd, harf dar harf hm sari sudhar denge
by sach
CA Sachin Gupta