Sunday, December 3, 2017

Toota Toota Lgta Hai

Aaj fir andar kuch toota toota lgta hai,
hath kisi ka hatho se fir choota choota lgta hai,
nafrat hui neki se mujko ab ye bdlaav rootha rootha lgta hai,
aaj fir andar kuch toota toota lgta hai.

na log sachche lgte hai, aaine mei khada insan b jhoota lgta hai,
har ras bhara sayari mei meri bs Sringaar achoota lgta hai

aaj fir andar kuch toota toota lgta hai

zindagi k rangmanch pe kirdaar anokhe milte hai,
kb tk ladaae masum dil ko jb har kadam pe dhoke milte hai.

mera andaaz meri sakhsiyat se kuch rootha rootha lgta hai,
aaj fir andar kuch toota toota lgta hai..
hath kisi ka hatho se fir choota choota lgta hai...
by sach

Friday, October 27, 2017

Na jaana kbi uska isq aajma k,
Na dekha kbi usko gale lga k,
bas chaha aur chahta gya,
Jiya bn k aasiq uski rooh mei sma k.

Tuesday, September 19, 2017

Hak Hai Muje (Words of Motivation from my heart)

Baithe ho jo haarkar nirasha mei,
to tumhari mardangi par sak hai muje.
Kya itna hi ta ubaal rago mei,
tumare jameer ko kosne ka hak hai muje.

Toota hai Dil ya doobe ho kisi ko chahne mei,
Kya itna sasta hai waqt tumara, jo lge ho kisi ko mnane mei.
Hatho pr yakeen nh ya sak hai kabliyat par,
aaj se hi suru krna hai ya aur waqt lgana hai kuch paane mei.

ek bar khud k liye raato ko jgakar dekho
us raat palko pe sapne sjakar dekho,
Arey isq kro to apni khwaiso se,
Fir Manjil E mahbooba ko gale lgakar dekho.

Roye ho jo aaj bhi uske khafa hone pr,
to tumari mardangi pe sak hai muje,
Soye ho jo subah 4 bje use mnate mnate,
to tumare jameer ko kosne ka hak hai muje.

kya hua jo km hai kuch suvidhaye tumare gharane mei,
Bdi mehnat lgi Pita ko tumari jarurate jutane mei.
Kbi dekha hai unki ummeed bhari nigaho mei tumne,
darti hai unki jubaa b apni ummeede tumhe btane mei.

Kbi apni maa k aaram ki khwaish to kro,
Uski khusi kmane ki khud se farmaish to kro,
Chor do rona jo hai usme khus rho,
Ya uth k khud ki mehnat ki aajmaish to karo.

Gaalia dete ho agar kismat ko,
to tumari mardangi pr sak hai muje,
Aur jo bahre ho pita ki ummeed, maa ki farmaiso se,
to tumare jameer ko kosne ka hak hai muje.
aur kya tum zinda ho ye sak hai muje,

by Sach
CA Sachin Gupta

Sunday, September 17, 2017

Shayari

ek to kasoor hai tere gaalo ki laali ka,
aur naseeb hai tere kaano ki baali ka,
ek bar jo thahar jaye muj par teri najre,
mai jal jau bn kr deepak diwali ka.

Ek kaano mei shor payal ki chamcham ka,
Khan khan khankana tere kangan ka,
tu nikle jo kbi dopahar ki dhoop mei,
mai baras jau bn kr paani saavan ka.
by sach...
CA Sachin Gupta

Tarif Mumkin Nhi

Tu aayi hai utar k sayad jannat se kahi,
hai jo noor tujme wo kahi noor hi nhi.
inkar krti hai meri kalam likhne se,
usne jaana k teri tateef alfajo mei mumkin nhi.

Lekr aankho mei mastiya,
hoto se muskra diye,
na jane kitne aasiq ghutno pe gira diye,

haar na baithu mai bhi dil yahin,
teri tareef mujse mumkin nahin,

aafreen aafreen aafreen aafreen

kaali raato mei bhi hai tere husn ki roshni,
so bhi nhi paata, tu kuch pal odh le odhni .
raat bhar jaag k likha to raaj jaana,
k teri tareef mujse mumkin nhin.

aafreen aafreen aafreen aafreen
by sach
CA Sachin Gupta


Saturday, September 16, 2017

Improvement

Tum jo aakar, yu Chale jate ho,
kya hai dil mei, jo tum chahte ho.
Hai jo agar mere kirdaar mei kmiya,
to fir kyu tum muje acha btate ho.

chalo khud ko badalkar ek alag kirdaar denge,
magar ab na khud ko intzaar denge,
likh de ek bar mei meri kmiya sari,
Sabd dar sabd, harf dar harf hm sari sudhar denge
by sach
CA Sachin Gupta

Monday, August 28, 2017

Change is must for living

Teri khwaishe mera armaan ho gai,
Teri batei maano khuda ka farmaan ho gai.
dekha jo badalta rukh tera
meri bhi najre Beimaan ho gai.

by sach,
CA Sachin Gupta

Ik time si tere ton jatt jaan vaarda
Time si tere ton jatt jaan vaarda
Hun sach jaani pehla jeha moh na reha,

Chad de malauni ankh Gucci waliye
Goriye bania da putt oh na reha

Sunday, August 20, 2017

Enough

Ham yuhi Har dil E khas ko Mnane lge,
maankr gunhegaar khud ko satane lge,
bnana pda dil ko paththar muskrane k liye.
aur fir ham sbi ko bure najar aane lge.

Bas Dekhi tumne aaj mere chehre ki chamak,
inhe tarashne wale Buzurgo k jakhmi hath nhi dekhe,
meri mazboor khamosi ko guroor samajte ho,
Meri zindagi k wo andhere wo raat nhi dekhe.

tumhe bde lgte hai wo kuch waqt k kaante,
Hamne  kbi Makhmali Libaaz nhi dekhe.
Dikhai deti hai tumhe bas galtiya,
tumne kbi mere jajbaat nhi dekhe..
by sach
CA Sachin Gupta

Sunday, July 16, 2017

Hasrate

Hai Aankho mei sapne hoto pe muskrahat hai,
Na sukun hai is dil ko,
na ise ek pal bhi rahat hai.
Hai abi meri kuch hasrate adhuri,
aur adhuri meri chahat hai.

Hai tazurba k khali hatho se mohabbat sameti nhi jati,
baithe jo likhne chahat k panno pe naam apna.
to pta chala bino paise k to Siyahi bhi nhi aati
By sach
CA Sachin Gupta

Thursday, June 29, 2017

Change is reaction of girls

Attitude aaya h aisa jo jaata nhi, dard k siva kuch likhna Aata nhi...
arj kia hai

Har sitam sah k bhi ham gunhegaar ho gaye,
ha ham badal k alag kirdaar ho gye.
ho gye andar se patthar, heere ki hasiyat na thi.
paise the kam aur mahange jajbaato k vyaapar ho gye.

sath mei ek lamha jaroor hota,
Hasne hasane ka na silsila door hota,
dekh lete jo muje yu najar bhar k,
bevajah na ye khud k husn pe guroor hota...

by sach.
CA Sachin Gupta

Tuesday, June 13, 2017

Brothers for life

Maa jasa pyar chipa hota hai, bhabhi k bnaye niwale mei.
Befikri ka ehsaas hota hai, Bhai k sath chaay k pyaale mei,
pahla hota hai wo chehra chote, jo dekhta hu mai roj subah k ujaale mei,

Aksar mai hoke laparvah bekhudi mei kho jata hu,
Bhai hain sath mere to mai befikr so jata hu.

ek aawaj pe ek duje k sath hote hai,
Jb ho ek jagah sbi lamhe khas hote hai.

Meri daulat ho tum mere jajbaat ho,
Door hoke b na kbi durio ka ehsaas ho,
jajbaato ko in ehsaaso ko hila ske jo,
na kbi koi rista itna khaas ho.
by sach
CA Sachin Gupta

Wednesday, May 31, 2017

Barsaat Part 1

Bas aaya hi tha Mausam barsaato ka,
Muje aana lga yaad kissa teri baato ka,
wo tere sath Jaagti thandi raato ka,
dil m dabe adhure jajbaato ka...

har mausam tadap k, jb Tapi Dharti virah ki aag mei,
Hokar bebas tb Aasman Barasne lgta Pyar mei.
ye Milan mumkin nhi, In dono ko aitbaar hai,
Fir b doobe chahat mei ye bs is mausam k intzaar mei.

Yuhi Chalte chalte takraana hmare hatho ka,
Aane lga Kissa muje yaad teri baato ka,
Abi to bs aaya hi tha mausam Barsaato ka.
by Sach
CA Sachin Gupta

Friday, May 19, 2017

Namumkin

Ek mumkin sa safar, na jane kb namumkin sa ho gya,
Paas aake mera hamsafar, jane kaha kho gya,
Kase baya kru us lamhe ko alfaajo mei,
Mai hoto se muskra k Aankho se ro gya..

Ek mumkin sa safar na mumkin sa ho gya...

Likhi jo teri tareef m wo gazle, Mere dil ki Aawaj thi,
Tu mere Sabdo ki paribhasa, Tu hi mera Saaj thi,
Thi dil mei tuje paane ki betaabiya,
Thi tu mera lamha, Tu hi mera kal tu hi mera aaj thi.

Kr dena muje maaf agar koi gunaah mujse ho gya,
Ek mumkin sa safar, Namumkin sa ho gya.

Aake paas baith tu fir usi Kaali Paushak mei,
Bah rhi aaj bhi tu meri saans mei ehsaas mei,
Chaahta rahna aaj bhi teri panaah mei,
Tooti hai ab meri himmat, Muje tera sath de.

Bhula dena galtia meri, Jo hona tha ho gya
Ek mumkin sa safar, Namumkin sa ho gya.
Kase baya kru us lamhe ko alfaajo mei,
Mai hoto se muskra k Aankho se ro gya..

By Sach
CA Sachin Gupta

Wednesday, May 17, 2017

Gam kya Karna

Kuch Hasrate rah jaye jo adhuri to gam kya karna,
Zindagi jio puri, hasi k lamhe km kya karna..
Kahte hai har dard ki dawa hoti hai dunia mei,
Magar jb jakhm hi ho meetha to marham kya karna...
by sach
CA Sachin Gupta

Friday, March 31, 2017

Mistake+ Apologise+Forgive= Continuous Love

Na thi ummeed k itna waqt yu tanha hi gujar jaega,
meri ek galti se mera Aasiana ujad jaega.
thi ummed mere sachche dil se na hogi koi galti,
aur galti se hui galti mei ek maafi se sb savar jaega.

chahe na kr maaf muje gale lgane ki khatir,
Magar kr de maaf tu apni zindagi mei aage bdh jane ki khatir,
Hain khade aaj to tere darwaje pe hath jod k,
ek din gujar jaenge teri galio se bnke ajnabi musafir.

Tu sayyam ka sagar hai,
Hai mujme Sabr ki seema,
Dilo mei isq ka toofa hai,
bs hmara waqt hai dheema.

Na muje isq jatana hai, Na ab tuje satana hai,
hai kitni haseen tu, muje bs itna btana hai.
by sach
CA Sachin Gupta

Sunday, March 26, 2017

Aansu

Tu fir na Soya Hoga, Sayad fir Roya Hoga,
Aansu meri Palko pe yuhi na aaya hoga

Tuesday, March 14, 2017

Kaise

Tere dard ka ehsas h muje,
Apna Dard btau kaise,
rkh du jahaan tere kadmo mei,
magar Sarto pe kadam badhau kaise.

hai tujpe aitbaar kitna mere dil janta h,
magar tera Visvaas pau kaise,
khada hu sar jhuka k jajbaat liye,
magar teri baato pe sar jhukau kaise.

Sun khada hu tere sath tere haq ki ladai mei,
magar baki riste akele nibhau kaise,
Tere bina meri zindagi adhuri hai,
bta tuje paana chahu to paau kaise.

mere dil mei tera pyar nishani hai,
aitbaar nishani hai intzar nishani hai,
dil mei hai tadap gahri aanko m paani h,
kya bs yahi meri pyar kahani h..

by sach
CA Sachin Gupta

Wednesday, March 1, 2017

Pyaasa

Bhatakta rha mai bnke musafir teri raaho ka,
dur hi rha mujse ghera teri baaho ka,
hath chura k mujse muje gunhegaar btane wale,
hu mai pyasa aaj bhi teri panaaho ka
by sach
CA SACHIN GUPTA

Friday, February 24, 2017

Blank

Tere sath dekhe jo khwab wo muje sone nhi dete,
Pathrai rahti hai aankhe, lekin ye aansu rone nhi dete,
yu to toot kr bikhra hu mai andar se,
lekin kuch riste muje Hosla khone nhi dete....
by sach

Friday, February 17, 2017

INTZAAR HUA

Har raat guzar jaati hai yuhi,
sukun ki talaash mei,
Jaagte rahte tamam raat,
bs ek hi ehsaas mei,
aawaj aati ab bechain dil se,
tu rhe khus, chahe ho dur ya rhe mere paas mei.

khtm hue intzaar ab sbi jawabo k,
bnd hue panne gunaho k hisabo k,
agr na ho E Aasiq teri jeb mei paise,
Dur hi rahna tu Pyar k khwabo se.

Hmko b ek mahalo wali se pyar hua,
ek bar hua har baar hua, izhaar hua,
unse to na inkaar hua na ikraar hua,
dekhi jo dur jati mohabbat apni,
Pahli baar apni Garibi ka ehsaas hua.

pyar hua izhaar hua, fir na inkaar hua na ikraar hua....
tanha the tanha hai, intzaar hua bs intzaar hua......
by Sach
CA SACHIN GUPTA

Wednesday, January 25, 2017

Heartless


Mat kar sukun ki Talaash tu, Rago mei Daudta Junun Acha hai,
ja rha jo tujse dur, Jata hua wo Mahboob acha hai,
Likh Din aur Raat ka hisab Aise Hasrate E Manjil ki Khatir,
Ki Lge Majboor Dil se to Mera Guroor Acha hai.

by Sach

Saturday, January 7, 2017

LOVELESS

Ji rha adhuri si Zindagi, Kuch Sawalo ki Talaash mei,
Guzar rha Yu lamha lamha, bas ek hi Ehsaas mei,
Bahar se Dheema Sagar andar lahro ka toofaa,
Chahta hu Zindagi jeena bs ek Saans mei.

Kase Samju, Kya samjha du tumko,fir ye Dil Khud ko Samjata hai,
Fir hoke nasamajh kahta, muje har kosis mei mili bas Nirasha hai,
E Dil Maayus krta bayan dard sayari mei,
k Usne meri chahat ki likhi kasi Paribhasa hai

by Sach
CA Sachin Gupta